
2015
R
0 h 4 m
India
Pop
Bollywood
Lyrics :
Mann jaage saari raat, mera deewana
Mann maane na ye baat, ke woh tha begana
Hai khud se hi, khafa khafa
Kya chahiye nahi pata! baawra!......
Paaya jo naa chaaha, chaaha woh naa paaya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoonde! par na kahin mil paaya!
Par saaya thehra saaya ke haathon mein na aaya
Koi subah, jo main uthuun
Bujhe agan, mile sukoon, baawara!!!!!
Gin.ta rehta taare lotun main angare
Khud se ladta phirta yeh jag ko thokar maare
Kheenche-kheenche baithe, baithe-baithe bhaage
Na sunta khud ke aage, yeh pagal ho gaya re
Gin.ta rehta taare lotun main angare
Khud se ladta phirta yeh jag ko thokar maare
Kheenche-kheenche baithe, baithe-baithe bhaage
Na sunta khud ke aage, yeh pagal ho gaya re
Yeh dard kyun yeh pyaas kyun
Phira kare, udaas kyun
Yeh ranj kyun talash kyun
Bata! baawara
Thandi aahein bhar ke jeeta hai mar-mar ke
Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke jhonke se umar ke
Ret ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke
Thandi aahein bhar ke jeeta hai mar-mar ke
Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke jhonke se umar ke
Ret ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke
Aaa aah aa..
Mann jaage, jaage re
Mann jaage
Jaage jaage jaage baawara...
Additional Lines From Movie not included in song :
Hai zindagi muhaal kyun
Bana liya yeh haal kyun bata..
Uljha-uljha rehta naa sunta naa kuch kehta
Sooni sooni aankhon se reh reh paani behta
Toote saare naate, haara main samjhate
Bichhde din aur saathi phir wapas nahi aate
Wapas nahi aate, wapas nahi aate
More
